Har roz guzarte the kain musafir saamne se, Sab ko samjhata ki manzil bas kuch kos door hai, Dekhte hi use nazren chura lete the usse, Khamoshi keh jaati hain ki unki, wo majboor hain.... Har roz ghar ko laut rahe kuch panchi guzar jaate uske upar se, Sabko wo pukarta ki aashiana bas kuch lamhe door hai, Unsana sa kar dete pukar ko wo uski, Intezar ho raha hai unka besabri se, wo majboor hain ..... Sabko dekhta aa raha hoon itni muddadat se, Khud ko samjhata raha ki sab majboor hai, Do lamha baat karne ke liye koi ruk nahi sakta hai, Har koi kisi na kisi cheez se majboor hai ... Thak chuka hoon kyonki ek hi jagah par baitha hoon, Wo chalne se thak gaye hain,Main rukne se thak gaya hoon, Wo pareshaniyon se majboor hain, Main majbooriyon se pareshan hoon, Muskura raha hoon aaj bhi kal aur parson ki tarah, Akela hoon lekin tanha nahi hoon, Khamosh hoon lekin khafa nahi hoon, Kal jahan tha aaj bhi wahi khada hoon, Main ek meel ka patthar hoon, Main ek meel ka pathhar hoon ...........